HO GAYA HAI PYAAR
Saara din tere hi kisse dil sunaaye yaar
Pyaar se bhi jyada tumse ho gaya hai pyaar
Zindagi se kya main chahun tu hai mere paas
Saath tere dhoop bhi yeh jaise hai barsaat
Khwaab dekha hai aankhon ne aaj pehli baar
Pyaar se bhi zyada tumse ho gaya hai pyaar
Maine likh di dhadkanon pe daastan apni
Ab se mera jeena marna hai tumhi se hi
Yeh nahi hum jaante hai zindagi kitni
Jo bhi hai humko woh tere saath hai likhni
Sirf tujhpe main hoon qurbaan ab hazaaron baar
Pyaar se bhi zyada tumse ho gaya hai pyaar
Khwaab dekha hai aankhon ne aaj pehli baar
Pyaar se bhi zyada tumse ho gaya hai pyaar
Kya bharosa zindagi ka kab chali jaaye
Kab safar mein chalte chalte shaam aa jaaye
Ik janam kya sau janam bhi saath ho apna
Paas mere rehna bas tum hum jahan jaaye
Do kadam ya phir chale hum chaand ke us paar

0 Comments